Ilm-E-Deen


Breaking

Thursday 19 August 2021

17:40

P:13 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                         Part:-13
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜ QASIM BIN HASAN RAZIYALLAHU ANH BIN ALI RAZIYALLAHU ANH BIN ABI TALIB KI SHAHADAT:-
❇ Sulaiman Bin Abi Rashid Hameed Se naqal Karte Hain Hameed Ne Kaha: Maidan E Jang Mein Ek baccha Chaand Jaisa Chehra qamees or ازار phehne huye nikla Umar Bin سعد ازدی ne Humse Kaha Mein is par Hamla karunga to maine kaha Subhan Allah is bache Se Tujhe Kya adawat Hai in Sare logo ke qatl se tera jee nahi Bhara Umar Ne Kaha Bakhuda Mein Hamla karunga yeh keh kar bacche par Hamla Kiya bacche Ne Aah Bhar Kar Pukara یاعماہ (Chacha Jaan Meri madad kijiye) Awaz sunkar Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh Sher Ke Hamla Karne Ki Tarah gusse Se Hamla kiye Jisse Kohni se uska Hath kat gaya Woh waha se Bhag Khada hua Badbakht to Kufi uski qaum use bachane Ghode Doda kar gard udane lagi. Jab Gubar chhata To Apni qaum se jaa Mila Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh bacche ke paas Khade the aur baccha Dum Tod raha tha aur Pairo se Zameen ragad raha tha (Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ki aankho mai aansu beh pade) or Farmaya us qaum ki Halakat Ho Jisne Tujhe Shaheed Kiya Kal inka Kon madadgar Hoga Jab Tere Dada (Ali Raziyallahu Anh) Tere Khoon Ka muqadma baargahe Ilahi mein dakhil Karenge fir bacche ko mukhatib Bana kar Kaha: beta! Bakhuda Tere Chacha par Bada گراں ke Tu use madad ke liye Pukara aur woh Teri Awaz na Sun saka aur suna Tu madad Na Kar saka Haye Allah madad Ki Khatir Pukarne wali Awaze ziyada ho gayi per madadgar Koi Nahi fir Bache Ki Laash ko Apne Seene Se Laga kar kandhe par Utha liya (Ravi Kehte Hain ke goya Meri Aankhon Ke Samne bacche ka woh pairo ka ragadna ab bhi Nazar Aa Raha Tha) aur apne bete Ali Akbar ke Bazu litaya mene (raawi) Paas wale se Puchha Ye baccha kaun hai? Paas wale Ne Kaha Yeh Qasim Bin Hasan Bin Ali Raziyallahu Anh hai.
(📚 Al'Badayah:597/5)

⚜ ABDULLAH BIN HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KI SHAHADAT:-
💠Aap bahut ziyada thak Chuke the aap Aa Kar Khaima Ke darwaze Par baith gaye aur apne chote bete ko bulwaya Jiska Naam Abdullah tha. Apne god Mein bithaya aap usko Bosa Dene Lage use Soonghne Lage aur apne ghar Walo Ko wasiyat karne lage itne mein qabila بنو Asad ka ek badnaseeb Jise (Ibne موقدالنار) kaha jata tha Ek Teer Chalaya Jo bacche ke halaq ko Paar Karke Nikal Gaya aapne Uske Khoon ko Apne Haathon Mein Lekar Aasman Ki Taraf Uchhala or farmaya:
رب ان تک قد حبست عنا النصر من السماء فاجعله لما ه‍و خير، وانتقم لنا من الظالمين
🌻"Aue mere perwerdigar agar tune hamse apni aasmani madad ko rok lee to hamare liye woh cheez muqarrer farma jo hamare liye khair hai or zalimo se hamare zulm ka badla le"
(📚Sabiq)

☣Ab Hazrat Hussain Raziyallahu Anh taqriban Tanha beyaro madadgarreh gaye; lekin Unki Taraf badhne ki Kisi Ko Himmat nahi hui ISI Tarah Bahut Der Tak Yahi kaifiyaat Rahi Ke Jo shakhs aapki Taraf badhta Usi Tarah lot Jata aur Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke qatl or Uske Gunah ko Apne Sar Lena na Chahta tha Yahan Tak ke qabila کنرہ ka ek شقی القلب Maalik Bin نسیر Aage Badha aur Hazrat Imam Hussain Raziyallahu Anh ke Sar par Talwar se Hamla Kiya aap Shadeed zakhmi ho gaye (Pehle Guzar Chuka ke aap) Apne chhote sahab zaade Abdullah Ko Bulaya aur apni God Mein Bitha liya Bani Asad ke Ek badnaseeb ne unko bhi Teer Maar halak kar diya Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne us Masoom bacche ka Khoon le kar Zameen Par bikher diya Aur Dua ki Ya Allah Tu Hi in zalimo Hamara Intiqam le.
☪Us Waqt Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki piyas Had ko pahunch chuki thi aap Pani Peene ke liye Dariyaye فرات ke qareeb tashreef Le Gaye zalim Hussain Bin Numair ne apke moonh per nishana karke teer feka jo aapko laga or دہن mubarak se khoon jari ho gaya. اِنَّا لِلّٰهِ وَاِنَّا اِلَيْهِ رَاجِعُوْنَ e(1).
[(1)📚ايضاً: 598/5]
❇ Bhaaz waqiaat Shahadat likhne Walo ne Abdullah ko Ali Asgar likha hai magar مستند yeh hai ke Ali Asgar Ibne Al'Hussain Zainul Aabideen Rahmatullah ka name hai Jo Shaheed nahi huye.
(📚Ibne Kaseer:12)
💠 Apne us Khoon ko Haath Mein liya aur Khoon Se Bhare hatho ko Aasman ki taraf uchhala or kaha:
"الله‍م أحصه‍م عدوا قتله‍م بددا، ولا تذر على الأرض منه‍م أحدا"
🌻"Khudaya in Mein Se Kisi Ko Na Chhorna Har Ek Ko Fana ke Ghaat Sakhti se utarna Aur Kisi Ka Nishan Zameen Par Baqi na Rakhna"
(📚 Al'Badayah:598)

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KI SHAHADAT:-
☣Iske baad شمر das Aadmi Sath Lekar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki taraf Badha Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Shadeed Piyas or itne Zakhmo ke bawajood unka dilerana Muqabla kar rahe the aur Jis Taraf Hazrat Hussain Raziyallahu Anh badhte Yeh bhagte Nazar Aate the ehle tareekh Ne Likha Hai Ki Yeh ek Benazeer Waqiah Hai Ke jis shakhs ki aulad aur ehle bait qatl kar Diye gaye hain usko khud Shadeed Zakhm Lage Huye Ho aur woh pani ke ek ek qatre se Mehrum Ho aur woh us quwwat or ثبات qadmi se Muqabla kar raha hai ke Jis Taraf rukh karta hai مسلح Sipahi Bhed bakriyon ki tarah Bhagne Lagte Hain badbakht شمر apne badnaseebo ko lekar aapko charo taraf se ghair liya aap apne khaime ke pas the koi ab esa baqi na tha jo aapke or in badnaseebo ke dermiyan ha'il ho sake achanak khaime se ek chhota baccha batakalluf w taqat se nikla Zainab Binte Ali Raziyallahu Anhuma (fufi) bhagi bacche ko rokne baccha aane koi taiyyar nahi or apne chacha se dushmano ko rokne ki koshish karne laga chhota masum hath mai na lakdi na talwar na taqat per josh w jazbah muhabbet w shahadat tha ek darinde ne aap per talwar chalai yeh baccha apna hath aage karke aapko bachana chaha hath kat gaya or چمڑے se latakne laga masum takleef se pukar utha Ya ابتاہ! (Abba jaan meri madad kijiye) Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya:
"يابنى احتسب اجرک عند اللّٰه فانک تلحق باباءک الصالحين"
☪"Beta sabr kar Allah se apne ajr ki ummeed rakh khush ho ja apne naik w pakeezah baap dada se milne wale" aapki behen Zainab Binte Fatima Raziyallahu Anha shiddat gam se khaima se nikal aai aasman ki taraf dekh kar kahi:
ليت السماء تقع على الارض
❇Kaash yeh aasman zameen per tut padta (haye haye aaj koi madadgar nahi Aale Rasool ka jis zaat ne ummat ke khatir apna khoon baha diya aaj usi ki ummat uski ذریت ka khoon na'haq baha rahi hai jo piyas se beqabu ho raha hai bad naseeb kutte uske khoon ke piyase hai) fir dard bhari awaz mai Umar Bin سعد se kehne lagi Umar Nawasah Rasool shaheed kar diya jaa raha ho or meri aankhe dekhti reh jaaye? Is sakht dil zalim ke aankho se aansu nikal pade or sharm se chehra fer liya us waqt Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ne kaha: logo! Tum mere khoon ke kyon piyase ho? Bakhuda mere baad koi esa na hoga jo itna zillat or zulm w bedardi se qatl kiya jaaye fir mujhe apne rab se ummeed hai woh tumhari is zillat ka badla mujhe izzat w ikram se dega or tumse ese tareeqe se badla lega jise tum bhi na samajh paoge mere khoon ke badle tumhara khoon bahega per khuda isse raazi na hoga woh tumhe 2 guna azab dega aapki baat sunkar kisi ki himmat na ho rahi thi ke aage badhe.
(📚 Al'Badayah:598)

💠Shummar (شمر) ne jab yeh dekha ke Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke qatl karne se har shakhs bachna chahta hai to aawaz dee ke sab یکبارگی hamla karo isper bahut se badnaseeb aage badhe نیزوں or talwaro se یکبارگی hamla kiya or yeh Ibne Rasoolullah خير خلق اللّٰه فى الارض ظالموں ka dilerana muqabla karte huye shaheed ho gaye. اِنَّا لِلّٰهِ وَاِنَّا اِلَيْهِ رَاجِعُوْن. Umar Bin عکرمہ se manqul hai jis subeh aap shaheed kiye gaye usse pehle ki raat ek munadi ne yeh as'aar padhe padhne wala malum na tha:
ايه‍ا القاتلون ظلما حسينا ابشروا بالعذاب والتنکيل کل اه‍ل السماء يدعو عليکم من نبى وولي و قبيل لقد لعنتم على لسان ابن داؤد و موسىٰ وحامل الانجيل
🌻"Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ko zulman qatl karne walo! Tumhe basharat hai azab w saza ki aasman ke tamam bashinde tum per bad'dua kar rahe hai Nabi wali har maqbul bande ki dua mai tumhare liye bad'dua hai Daud ki zaban se bhi tum per lanat kee gai Moosa w حامل Injeel ki zaban se bhi tum per lanat ki gai hai".
(📚Page,92-95)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
06:09

P:12 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                         Part:-12
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜ ABDULLAH BIN NUMAIR KA JOSH:-
☣Qabeelah Bin علیم ke ek shakhs the Abdullah Bin Numair kofi Kufa mai بیئر جعد ke paas ke paas Ghar bana liye the apni biwi ke sath Zindagi Basar rahe the Dekha Ke Log Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh Ke khilaf Jang Ki taiyyari kar ke nikal rahi hai to Kehne Lage:
واللّٰه لقد کنت على قتال أه‍ل الشرک حريصا وإنى لأرجو أن يکون جه‍ادى مع ابن بنت رسول اللّٰه له‍ولا ء أفضل من جه‍اد المشرکين وايسر ثوابا عند اللّٰه
❇ Bakhuda Mein Mushrikeen se jihaad Karne ko bahut pasand Karta Hoon aur aaj Sarkar E Do'Aalam ﷺ ke nevase ke saath Milkar Jihad karna Misriko Se jihaad Karne Se Afzal or Allah Ke nazdeek Ziyadah Sawab ka ba'is hoga Yeh keh kar Apne Ghar jakar Biwi Se Apna Irada Zahir Kiya biwi Ne Kaha Tumne bahut hi Naik Irada Kiya Apne Irade ko jaldi Aamal Mai lao Or Mujhe bhi Apne Sath le chalo raat mai Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ke pas pahunch kar Apna Irada zahir Farmaya Jab subah Maidan E Jang Mein Ibne زیاد ki taraf se سیار or سالم naami do Shakhs aage badh kar  من يمارز؟ ka nara Lagaya To Yahi Abdullah Bin Numair AAP Raziyallahu Anh se Aage badhne ki Ijazat chahi Aap Raziyallahu Anh ne Unki Taraf Mudh kar Dekha To bahut Lamba Mote mote bhaazu kushadah seena wala nihayat Josh mein hai AAP Raziyallahu Anh ne farmaya mujhe to Yeh Bada Bahadur lag raha hai AAP Raziyallahu Anh ne Jaane Ki Ijazat Dee Ibne زیاد ke dono مبارزوں Ne Puch Ne Pucha Tu Kaun Hai ha Tu Kon Hai? Mai bhi Tumhara Hi Ek Aadmi Hoon unhone Kaha Hum To Tujhe Nahi Jante Abdullah Ne Kaha: aye haramiyo (يا أولا دالزانية) Tumhe Kisse Ladne ka shauk hai? Tumhari Taraf nikalne wala Tumse Behtar hi hoga Fir us furti se سیار par Hamla kiya ke woh Ek Hi waar Main Dher Ho Gaya itne mai سالم مولی Bin زياد UN par Hamlawar Hua isse pehle ke woh mutawajjeh Hote usne waar Kar Diya Jisse aap ke baye Hath ki 4 ungliya kat Gayi itne Mein Abdullah Bin Umar کلبی باذن Hussain Raziyallahu Anh us par Hamlawar Hokar use Jehennam raseed kar diya Iske baad Unki biwi Umme وہب Lathi Lekar Aage Badhi aur Kehne Lagi: فدائک أبى وأمى (Mere maa baap Tujh par Qurban) chal uth kar lad in Pakeezah نفوس Ki Khatir Muhammed ki ذریت Ki Khatir unke shohar Unhe Pichhe karne lage wo Kehne Lagi دعنى اکون معک Mujhe Chhor Do Mujhe Apne Sath Jaame Shahadat Peene Do Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ne Aawaz dekar Kaha Pichhe aao aurto ke sath Ja betho aurto per jihad nahi hai Aap Ki Awaz par Wo Wapas aa gayi.
(📚 Al'Badayah والنهايه:593/5)

⚜SHUMMAR (شمر) BIN ذی الجوشن BAD BAKHT KI SHARARAT:-
💠 Ghamasan Ki Ladai Mein Bad Bhakt شمر Bin ذی الجوشن Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ke Khaimo ki taraf Badhkar khaimo Ki Rassiya Kaat Diya aur apne kutto Ko Awaz De kar Kaha Ke Aag laao Khaima aur uske andar Ke Logo Ko Jala de Khaima ke andar ki aurte cheekh Mar kar bahar nikal aai Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya: أنت تريد أن تحرق أہلي؟ Tu mere ghar Walo Ko Jala Dega to Allah Tujhe Jala dega itne شیث Bin ربعی us Kambakht Ke Paas Aaye Aur Kaha mene Tujhse Ziyada bure aur qaul و فعل w khayal wala na dekha Tu aurto ko مرعوب karna chahta hai are (namard) Sharm kar baaz aaja Hameed Bin Muslim Ne Kaha Tera in Pakeezah نفوس Mardo se Jang karna hi Bura Hai tu to 2 Ajeeb sifte Jama kar raha hai Jala Dena Chahta Hai (Jo ke Allah Ka Azab hai) aur baccho aurto ko qatl karna chahta hai (Jo ke Namardo ki Harkat hai).
(📚 Al'Badayah:594/5)

⚜ HABEEB BIN مطہر KI SHAHADAT AUR AJEEB INTIQAM:-
🌻Muslim Bin عوسجہ ki Shahadat ke baad aap bhi shoq Shahadat mein رجزیہ Ash'aar padhte Huye Nikle Or Ibne زیاد ke kutte ko Zakhmi karte Jehennam raseed karte rahe ke بنو تمیم Ke Ek shakhs ne نیزہ mara Jis Se aap Gir Pade uthna Chah rahe the Ke Hasan Bin Numair ne Hamla Kar Diya Phir woh Bad bakht Aage badh kar aapka sir Kaat kar Ibne زیاد ke paas Le Gaya Habib ka beta Jo Chhota tha Ibne زیاد ki taraf se tha Apne Walid ka sir Dekh Kar RO Pada aur kaha laao yeh sir mujhe do Dafn kar dunga Bakhuda tum ne apne se behtar shakhs ko qatl kiya hai jab yeh baccha Bada Hua To apne baat ke qatil ke qatl ka fikr mand tha مصعب Bin Zubair ke Zamane Mein Uske laskar ka Fauji ban kar Baap Ke qaatil ke paas Gaya Jo khaima Main tha Talwar nikal kar usko Thanda Kar Diya.
(594📚)

⚜ GHAMASAN KI JANG MEIN NAMAZE ZOHAR KA WAQT:-
☪Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke aksar رفقاء Shaheed Ho Chuke the aur Dushman ke daste Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke qareeb pahunch Chuke the اَبُو صَمَامَہ شَائِرِیْ ne arz kiya ke meri jaan aap per quraban ho mai chahta hu ke aapke samne qatl kiya jaau lekin yeh dil chahta hai ke Zohar ka waqt ho chuka hai yeh namaz ada karke perwerdigar ke samne jaau Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne baqawaz buland farmaya ke jang multawi karo yaha tak ke ham namaz padh le esi ghamasaan jang mai kon sunta tha طرفین se qatlo قتال jari tha or Abu صمامہ isi halat mai shaheed ho gaye iske baad Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne apne chand ashab ke sath namaze zohar صلوة الخوف ke mutabiq ada farmai(1).
[(1)📚Ibne Kaseer:593/5]

لما نزل القوم بالحسين وايقن انه‍م قاتلوه قام فى اصحابه خطيبا فحمد اللّٰه وأثنى عليه ثم قال نزل من الا مر ماترون وان الدنيا قد تغيرت وتنکرت وادبر معروفه‍ا وانشمرت حتى لم يبق منه‍ا إلا کصبابة الإناء ألا حسبي من عيش کلمرعى الوبيل ألاترون أن الحق لا يعمل به والباطل لا يتناه‍ى عنه ليرغب المؤمن في لقاء اللّٰه تعالىٰ وإنى لا أرى الموت إلا سعادة والحياة مع الظالمين إلا جرما
(📚Haadsah Karbala:312, احیاء العلوم:398/4)
❇"Jab Yazeedi foj Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke muqabil aakar utri or aapko yaqeen ho gaya ke yeh aapko zarur qatl karke rahe gi to aapne apne ashab ke samne khade ho kar khutbah diya jisme pehle Allah ki hamdo sana ki or fir Farmaya: jo musibat nazil hui hai woh tumhari aankho ke samne hai duniya badal gai or ajnabi ban gai iski khubi ne peeth fer liya or jaldi se khisak gai ab to isme se bas sirf itnasa baaqi raha hai jitna ke bartan mai se pee lene ke baad usme kuch laga reh jata hai or bas itni si zindagi us charagah ki tarah hai ke jisme charne se bad'hazmi ho jati hai dekhte nahi ke haq per amal nahi ho raha hai or baatil se baaz nahi raha jata or momin ko chahiye ke haq Tala se mulaqaat ki rugbat kare or meto marne mai apni saadat samajhta hu or zalimo ke sath jeene ko jurm".

💠Namaz ke baad fir قتال shuru kiya ab yeh log Hazrat Hussain Raziyallahu Anh tak pahunch chuke the Saeed Bin Abdullah Hanfi Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke samne aakar khade ho gaye or sab teer apne badan per khate rahe yaha tak ke zakhmo se chur ho gaye us waqt Zaheer Bin القین Ne Hazrat Hussain Raziyallahu ki مدافعت mai sakht قتال kiya Bawaqt قتال unki zaban per yeh shair jari tha jese woh bator رجز padh rahe the:
انا زه‍ير وانا ابن القين اذود کم بالسيف عن الحسين
🌻"Mai Zaheer hu ek hero ka beta hu talwar se Hussain ki hafazat karke tumhe Jehennam raseed karunga"
(📚Sabiq:595/5)
☣Or Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ke kandhe per hath maar kar kehne lage:
اقدم ه‍ديت ه‍اديا مه‍ديا فاليوم تلقى جدک النبيا وحسنا والمر تضى عليا وذالجنا حين الفتى الکميا واسد اللّٰه الشه‍يد الحيا
☪"Aage badhiye aap hidayat yafta or rehnuma bankar aaye hai aaj apne nana se aap ki mulaqaat hogi or Hasan, Ali Murtaza or ذوا اجناحین (do پروں wale) no jawan Jaafar طیار se mulaqaat hogi or Allah ke sher Hazrat Hamzah se".
(📚Sabiq)
❇Yaha tak ke woh bhi shaheed ho gaye us waqt Hussain Raziyallahu Anh ke paas بجز chand Rafeeqo ke koi na raha tha or yeh رفقاء bhi dekh rahe the ke ham na Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko bacha sakte hai na khud bach sakte hai to ab unme se har shakhs ki yeh khwahish thi ke mai Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke samne pehle shaheed ho jaau is liye har shakhs nihayat shiddato شجاعت se muqabla kqr raha tha.
⚜AABIS (عابس) BIN ABI شبیب KI SHAHADAT:-
💠 Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ke sathiyo mai Hazrat عابس the jo bade bahadur shumar hote the aage badhe aap se kaha Abu Abdullah (Hussain Raziyallahu Anh) bakhuda ruye zameen per koi shakhs mere nazdeek tumse ziyadah azeez nahi tum mere nazdeek har cheez se mehbub ho agar mai apna khoon bahakar tumhare khoon ko bacha leta to zarur esa karta ab mai zarur tumhare tareeqe per hu fir talwaar سونت lee  or nara lagaye "ألا رجل لرجل؟ ألا ابرزوا إلي" (suno koi hai is mard se ladne wala aajaao koi muqable ke liye dusman aapko dekh kar peechhe hatne lage koi aage badhne taiyyar nahi to Umar Bin سعد ne kaha: patthar feko jab dekha ke harjanib se patthar aa rahe hai to apni dhaal or khud fek dee or majme mai ghus pade or 200 se zaid aadmiyo ko zakhmi kar diya dushman charo taraf se tut pade or aapko shaheed kardiya itni talware aap per padi ke aapka sar kai aadmiyo ke hath tukdo ki shakl mai tha or harkoi dawa kar raha tha ke mai ne qatl kiya Umar Bin سعد ne kaha jhagda mat karo tum sabne unhe qatl kiya hai.
(📚Sabiq:596/5)

🌻Isi waqt Hazrat Hussain ke bade Sahab Zade Ali Akbar yeh shair padhte huye aage badhe:
انا ابن على بن الحسين بن على نحن و رب البيت اولى بالنبى
تالله لا يحکم فينا ابن الدعى کيف ترون اليوم سترى عن أبي
☣"Mai Hussain Bin Ali ka beta hu qasam hai Rabbul Bait ki ke ham Rasoolullah ﷺ se qareeb tar hai Allah ki qasam bakhuda ختنہ karne wali ka beta hamara haakim na banega aaj tum dekh loge ke mai apne walid se kese دفاع karta hu."

☪Kambakht مرہ Ibne منقز ne unko نیزہ maar kar gira diya fir kuch or شقی aage badhe or laash ke tukde kar diye Hazrat Hussain Raziyallahu Anh samne aaye or kaha: khuda Tala is qaum ko barbaad karejisne tujhko qatl kiya hai yeh log Allah Tala ke muamle mai kese bewaqoof hai tere baad ab zindagi per khaak hai unki نعش utha kar khaima ke paas laai gai.
❇Umro Bin سعد ne Qasim Bin Hussain Raziyallahu Anh ke sar per talwar maari woh woh gire or unke moonh se nikla "یا عماہ" to Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne dod kar unko sambhala or Umro per talwar se hamla kiya kahi se uska hath kat gaya Hazrat Hussain Raziyallahu Anh apne bhateeje Qasim ki laash ko apne kandhe per utha kar laaye or apne bete or dusre ehle bait ke barabar lita diya.
(📚Page,88-92)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
06:07

P:11 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                         Part:-11
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜HARBAN (حربن) YAZEED HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KE SATH:-
☪Umar Bin سعد ne apne lashkar ko 4 hisso mai taqseem karke har ek hisse ka ek ameer banaya tha unme se ek hisse ka ameer حربن Yazeed tha jo sabse pehle 1000 ka lashkar lekar muqable ke liye bheja gaya tha or Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke sath sath chal raha tha uske dil mai ehle bait اطہار ki Muhabbat ka jazbah bedar ho chuka tha us waqt sabiqah kaarrawai per nadim hokar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke qareeb hote hote یکبارگی ghoda doda kar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke lashkar mai aa mile aur Arz kiya ke "Meri ibtidai gaflat or aur aap ko wapsi ke liye Rasta Na Dene Ka natija IS Surat Mein Zahir Hua Jo hum Dekh Rahe Hain Wallah Mujhe Yeh Andazah na tha ke Yeh log aap ke khilaf is had Tak pahunch Jayenge aur aap ki koi baat Na Manenge Agar Mein yeh Janta to hargiz aapko na Rokta Main Ab تائب Ho Kar Aaya Hoon isliye ab Meri tauba aur Saza Yahi Hai Ke mai bhi aap ke saath قتال Karta hua jaan De Du" aur Aisa hua.

⚜ DONO LASHKARO KA MUQABLA HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA LASHKAR KO KITAB:-
🌻 Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Ghode par Sawar Huye aur aage Badh kar Ba'awaz buland farmaya:
أيه‍ا الناس اسمعوا قولي، ولا تعجلونى حتى أعظکم بما يجب لکم علي وحتى اعتذر إليکم مقدمى عليکم فإن قبلتم عذرى وصدقتم قولى وانصفتمونى کنتم بذلک اسعد ولم يکن لکم على سبيل وإن لم تقبلوا منى العذر فاجمعوا أمر کم وشر کائکم ثم لا يکن أمر کم عليکم غمةً ثم اقضوا إلى ولا تنظرون إن ولى اللّٰه الذى نزل الکتاب وه‍و يتولى الصالحين
💠"Logo! Meri baat suno jaldi Na Karo Taake Mein Haq nasihat Ada kar du Jo Mere zimme Hai Aur Take main tumhe Apne Yahan Aane ki wajah batla du fir Agar Tum Mera uzr Qubool karo Aur Meri Baat Ko Saccha Jano aur mere saath Insaaf karo To isme Mein Tumhari فلاح w saadat hai Aur fir Tumhare Liye Mere قتال ka Koi Rasta nahi aur Agar Tum Mera uzr qubul Na Karo to Tum Sab Milkar muqarrar karo Apna Kaam aur Jama kar lo Apne Shareeko ko fir Na Rahe Tum Ko Apne kaam mein shubah fir Kar guzro Mere Saath aur Mujhko mohlat Na do"(1).
[(1)📚Sabiq]
🌻 Yeh wahi Alfaaz hai jo Nooh Alai'His'Salam ne apni qaum se Kahe the.
(📚مترجم)

⚜BEHNO KI گریہ وزاری AUR HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA ISSE ROKNA:-
☪ Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke Yeh Kalimaat behno or aurto ke kano mai pade to ضبط na kar sake rone ki aawaze buland ho gai Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne apne bhai Abbas ko bheja ke unko nasihat karke khamosh kar de or us waqt farmaya ke Allah Tala Ibne Abbas Raziyallahu Anhuma per rehem farmaye unhone Sahi Kaha Tha ke aurto ko na le jao(2).
[(2)📚Sabiq]

⚜HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA DARD ANGEZ KHUTBAH:-
❇Hazrat Hussain Raziyallahu Anh jab dushman ki foj ko mukhtib karke mutawajjeh kar chuke or aurto ko khamosh kar diya to ek dard angez w nasihat aamoz بلیغ w be'nazeer khutba diya.hamdo sana w drudo salam ke baad Farmaya:

☣"Aye logo tum mera نسب dekho mai kon hu fir apne dilo mai gor karo kya tumhare liye jayez hai ke tum mujhe qatl karo or meri izzat per hath dalo kya mai tumhare Nabi E Kareem ﷺ ki sahab zaadi ka beta nahi hu kya mai us baap ka beta nahi hu jo Rasoolullah ﷺ ka Chacha zaad bhai or وصی اولی بالمومنین باللہ kaha tha kya Sayyedul Shohda Hamzah mere baap ke chacha nahi the kya Jaafar طیار mere chacha nahi the kya tumhe yeh hadees mash'hoor nahi pahunchi ke Rasoolullah ﷺ ne mujhe or mere bhai Hasan Raziyallahu Anh ko سید اشباب اہل الجنتہ or قرة عین اہل السنتہ farmaya hai agar tum meri baat ki tasdeeq karte ho or Wallah bilkul meri baat haq hai mene umar bhar kabhi jhoot nahi bola jab se mujhe yeh malum hua ke isse Allah Tala naraz hota hai aur Agar Tumhe Meri Baat ka Yaqeen Nahi To Tumhare andar Aise log mojud hai Jinse iski Tasdeeq ho sakti hai Puchho Jabir Bin Abdullah se dariyaft karo Abu Saeed Ya Suhal Bin سعد se malum karo Zaid Bin ارقم Ya Anas se Woh Tumhe batlayenge ke beshak yeh baat unhone Rasoolullah ﷺ se suni hai Kya Yeh cheeze Tumhare Liye Mera Khoon Bahane se Rokne ko Kafi nahi. Mujhe Batlao Ke Mene Kisi Ko qatl kiya hai jiske قصاص mai mujhe qatl kar rahe ho ya mene Kisi Ka Maal Luta hai ya Kisi Ko zakham lagaya hai iske baad Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne رؤسا Kufa ka naam Lekar pukara aye شیث Bin ربعی aye حجاز Bin الحجر aye قیس Bin اشعث aye Zaid Bin Haris kya tum logo Ne Mujhe Bulane ke liye khatut nahi likhe yeh sab log mukar gaye Ke Humne nahi likhe Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke mere paas Tumhare khatoot maujood Hai uske baad farmaya: aye logo! Agar Tum Mera Aana pasand nahi karte to Mujhe Chhor do main Kisi Aisi Zameen Mein Chala Jaunga Jahan Mujhe Aman mile.
☪Qais (قیس) Bin اشعث ne kaha ke aap Apne Chacha zaad bhai Ibne زیاد Ke huhm par kyon nahi Utar aate Woh Phir Aapke bhai hai aapke sath Bura suluk Na Karenge Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh ke qatl ke baaad bhi Tumhari Yahi Raaye hai Wallah Main isko Kabhi Qubool na karunga yeh farma kar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Ghode se utar aaye Iske baad Zaheer Bin القین Raziyallahu Anh khade huye or UN logo ko nasihat ki ke Aale Rasool ke Khoon se baaz aa jaye(1).
[(1)📚Sabiq:590/5]
💠Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Ke khutba ke yeh Alfaz Ibne Aseer Ne naqal Kiye Hai Or Maine Shuru risalah mein is par تنبیہ kardi hai ke mene Tareekhi haisiyat se Ibne Aseer ki tareekh ko مستند Samajh Kar iski riwayaat naqal Ki Hai; lekin iska مستند hona sirf Tareekhi Darjah tak hai tareekhi riwayaat ke alfaaz se ehkame aqaid ya ehkame halalo haraam اخز nahi kiye ja sakte isliye muhaddasanah tanqeed ke baad jo alfaaz sabit ho sirf unhi per etmaad kiya jaa sakta hai khutba ke alfaaz mai Hazrat Ali ko Rasoolullah ﷺ ka وصی or اولی Almu'a'mineen Billah kaha gaya awwal to in donolafzo se woh baat sabit nahi hoti jo ehle تشیع sunnat ke khilaf bayan karte hai or baal farz in lafzo ke wahi maani liye jaye to fir Ibne Aseer ki yeh riwayaat dusri ahadees Sahih ki riwayaat ke muqable mai متروک hogi jiski tafseel apne mauqe per mazkur hai yeh jageh in behso ki nahi Risalah Al'Zikr Karachi mai isper tanqeed ki gai thi isliye unke شکریہ ke sath is hashiyah ka izafah kart hu or bhi chand jageh lafzi اصطلاحات ka mashwarah qubul karke tarmeem kar dee gai hai.
✍12 Mohammed Shafi, 2 Muharram 76ھ.

⚜ ZUBAIR BIN القین RAZIYALLAHU ANH KA KHUTBA W NASIHAT:-
☣Aye Kufa walo! Mai tumko Allah Ke Azab Se Darata Hoon Musalman par lazim hai ke woh Apne Musalman Bhai Ki Bhalai Chahe Aur Hum Sab Ab bhi Bhai Bhai hai Ek Deeno Millat par qayam hai jab tak ke Hamare aur Tumhare Mabeen Talware Na Chale Jab Talware uth Jaaye fir jaane Gair Mehfooz ho jayegi Hum Aur Tum alag alag giroh Ban Jayenge  suni! Allah Ne Hame aur Tumhe Apne Nabi ki aulad Ke zariye Aazma raha hai Ke Hum unke Sath Kaisa bartau Karte Hain So Hum Tumhe Dawat Dete Hain ke Nawasa-E-Rasool ﷺ ki madad karo or سرکش Bin سرکش Ubaidullah Bin زیاد ki madad se Baaz aa jao warna tumhe bhi Ibne زیاد se koi khair Na Milega. Yeh tumhe qatl karke haath Sar Kaat kar مثلہ Kar Dega ہانی Bin Urwoh Ki Tarah Tumhe bhi Maar dega Ibne زیاد Ke lashkar ne Yeh sunkar aap ko Bura Bhala Kaha or Ibne زیاد ki Tarif ki aur Kehne Lage Hum Tumhe aur Tumhare Sathi (Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh) aur unke madadgaro Ko Jab tak qatl Na Kar De Baaz Nahi Aayenge Zaheer Ne Kaha: logo! Fatima Raziyallahu Anha Binte Rasoolullah ﷺ ki Aulad madadki ziyadah haqdaar Hai Ibne سمیہ Ke bete se agar tum inki madad nahi kar sakte to mai Tumhe Allah Ki Panah mai deta hoon ke qatl karo Is Pakeezah zaat ke or Yazeed Bin Mu'Aawiyah ke Darmiyaan se hat jao yeh Jaha Chahe Chale Jaye Meri Jaan Ki qasam Yazeed inhe Bina qatl kiye bhi Tumhari Ita'at se Razi ho jayega. Yeh hai baat ho rahi thi ke badbakht شمر Bin ذی الجوشن ne teer chala diya aur Kaha Khamosh reh apni guftgu se Tu Ne Hame bahut thaka diya Zaheer Ne Kaha Ya Ibne السوال Ali عصیتہ mai tujhse mukhatib hu mai to tujhe Quran ki un ayaat ka مصداق samajhta hu (to tu Quran ki 1-2 ayaat ke mutabiq faisla karne taiyyar nai) tere liye bashrat hai فَابْشِرِىْ بِالْخِزْىِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَالْعَذَابِ الاَلِيْمِـ. Qayamat ke din ki ruswai or dardnaak azab ki. شمر ne kaha ab tum apni jaan ki socho tum jo thodi der baad or tumhare sathi marne wale hai Zaheer ne kaha tu mujhe maut se darata hai are kambakht sun "us zaat ke sath marna tere sath jeene se laakh darja behtar hai". Fir Hazrat Zaheer logo ki taraf muta'wajjeh ho kar ba'awaz buland Farmaya:
عباد اللّٰه لا يخر جنکم عن دينکم بعد الحلف الجافى واشباه‍ه فو اللّٰه لا ينال شفاعة محمد قوم اه‍رقوا ماء ذريته وقتلوا من نصره‍م وذب عن حريمه‍م
(📚 Al'Badayah:591/5)
❇"Allah ke bando! Yeh jhuti qasme or dhoke baaz gaddaro ke wade tumhe tumhe apne deen se nikal na de ba'khuda kal qayamat ke din woh qaum Nabi ki shafat nahi payegi jo aapki nasl ka khoon bahaye unke madadgaro ko qatl kare or unke muhafizeen ko khatm kare".

❇Or batlaya ke agar tum apni is harkat se baaz na aaye or Ibne زیاد ka sath diya to khub samajh lo ke tum ko bhi Ibne زیاد se koi فلاح na pahunchegi woh tumko bhi qatl غارت karega un logo ne Zaheer ko bura bhala kaha or Ibne زیاد ki tareef ki or kaha ke ham tum sab ko qatl karke Ibne زیاد ke paas bhejenge.

🌻Zaheer ne fir kaha ke aye Zalimo! Ab bhi hosh mai aao Fatima Raziyallahu Anha ka beta سمیہ ke bete (Ibne زیاد) se ziyadah muhabbato ikram ka mustahiq hai agar tum inki imdad nahi karte to inko or inke chacha zaad bhai Yazeed ko chhor do ke woh aapas mai nimat le Ba'khuda Yazeed Bin Mu'Aawiyah tumse isper naraz na hoga jab guftgu taweel hone lagi to شمر ne pehla teer chala diya uske baad حربن Bin Yazeed jawab تائب hokar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke lashkar mai shamil huye the aage badhe or logo ko khitab kiya "aye ehle Kufa tum halako barbaad ho jao kya tumne inko isliye bulaya tha ke woh aa jaye to tum inko qatl karo tumne kaha tha ke ham apni jaan w maal aap per qurban karenge or ab tum hi inke qatl ke dar pe ho inko iski bhi ijazat nahi dete ke khuda ki taweel w عریض zameen mai kahi chale jaye jaha inko or ehle bait ko aman mile inko tumne qaidiyo ke masal bana liya hai or dariyaye فرات ka jaari paani inper band kar diya hai jisko Yahudi, nasrani, majusi, sab peete hai or jisme is ilaqe ke khinzeer lotte hai Hussain Raziyallahu Anh or inke ehle bait piyas se behosh ho rahe hai tumne Muhammed ﷺ ke baad inse inki aulad ke bare mai nihayat sharmnaak suluk kiya Allah Tala qayamat ke roz tumko piyasa rakhega agar tauba na karo or apni harkat se baaz na aao" ab حربن Bin Yazeed per bhi teer feke gaye woh wapas aa gaye or Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke aage khade ho gaye.
☪Iske baad teer andazi ka silsila shuru ho gaya fir گھمسان ki jang hui mareeq mukhalif ke bhi kaafi aadmi mare gaye Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke رفقاء bhi baaz shaheed huye حربن Yazeed ne Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke sath hokar shadeed قتال kiya bahut se dushmano ko qatl kiya Muslim Bin عوسجہ zakhmi ho kar gir gaye Habeeb Bin مطہر Raziyallahu Anh unke paas aaye or kaha ke Jannat ki khushkhabri tumhare liye hai agar mai yeh janta ke mai bhi tumhare peechhe shaheed hone wala hu to mai tumse tumhari wasiyat daryaft karta unhone kaha ke haan mai ek wasiyat karta hu or Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki taraf isharah karke kaha ke jab tak zindah ho unki hifazat karna" iske baad شقی badbakht شمر ne charo taraf se charo taraf se Hazrat Hussain Raziyallahu Anh or unke رفقاء per hallah bol diya Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke رفقاے ne badi bahaduri se muqabla kiya Kufa ke lashkar per jis taraf hamlah karte the medan saaf ho jata tha jab Urwoh Bin قیس ne yeh halat dekhi to Umar Bin سعد se mazeed کمک talab ki or شیث Bin ربعی se kaha ke tum kyon aage nahi badhte us waqt شیث se na raha gaya or kaha ke tum sab gumrah ho Ibne Ali Raziyallahu Anh jo is waqt ruye zameen per sabse behtar hai unse قتال karte ho or سمیہ زانیہ ke ladke Ibne زیاد ka sath dete ho Umro Bin سعد ne jo کمک or tazah dam 500 sipahi bheje yeh aakar muqabla kiya or ghode chhor kar medan mai piyadah aa gaye us waqt bhi حربن Yazeed ne sakht قتال kiya ab dushman ne khaimo mai aag lagana shuru ki(1).
[(1)📚Sabiq:593/5]
(📚Page,82-88)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
06:06

P:10 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                         Part:-10
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜IBNE زیاد KA KHAT UMAR BIN سعد KE NAME:-
🌻Amma Baad! Mene tumhe isliye nahi bheja ke tum jang se bacho ya unko mohlat do ya unki sifarish karo agar Hussain Raziyallahu Anh or unke sathi mere hukm per suleh karna or mere paas aana chahte hai to unko sahih سالم yaha pahuncha do warna unse jang karo yaha tak ke unko qatl karo مثلہ karo kyonke woh iske mutahiq hai fir qatl ke baad unko ghodo ki taapo se rond daalo agar tumne hamare is hukm ki tameel ki to tum ko ek farma bardar ki tareh inam milega or agar iski tameel nahi karte to hamare lashkar ko foran chhor do or چارج شمر ke supurd kar do والسلام.
☣Shummar (شمر) yeh hukm Lekar rawana Hone Laga To usko Khayal Aaya K Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Ke Sathiyo main uske fufi zaad bhai Abbas Raziyallahu Anh, Abdullah, Jaafar, Usman bhi hai Ibne زیاد ne in chaaro ke liye امان Hasil Kiya aur Ravana Ho Gaya شمر ne Yeh Parwana امان Kisi qaasid ke hath in Chaaro buzurgo ke Paas bhej diya yeah Parwana dekh kar یک Zaban Ho Kar bole ke "hame امان Diya Jata Hai or Ibne Rasoolullah ko امان nahi diya Jata Hame Tumhare امان ki hajat nahi Allah ka امان tumhare امان se behtar hai tujhper lanat hai aur Tere امان per bhi". شمر yeh khat lekar jab Umar Bin سعد ke paas pahuncha to woh samajh Gaye ke شمر Ke mashware se yeh Surat amal mai aai hai ke mera mashwara radd kar diya Gaya usko Kaha Tumne Bada Zulm Kiya ke musalmano Ka Kalimah متفق ho raha tha isko khatm karke qatlo قتال car bazar Garam Kar Diya Baal Aakhir Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko yeh Payam pahunchaya gaya aapne isk Qubool karne se Inkaar farma Diya Ke Is zillat se maut behtar hai(1).
[(1)📚Sabiq:]

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA AAN'HAZRAT ﷺ KO KHWAB MAI DEKHNA:-
☪Shummar (شمر) Bin ذی الجوشن ko Jab aapne Dekha To farmaya Allah aur uske Rasool Ne Sach Farmaya: Aap ﷺ ne farmaya: کأنى أنظر إلى کلب ابقع بلغ فى حماء أه‍ل بيتي.
❇"Mujhe woh Baras Ka kutta Dikhai de raha hai Jo Mere ehle bait ka Khoon Peene chah raha hai or شمر ke jism per siyah w Safed Daag tha".
(📚 Al'Badayah:599/5)

🌻Shummar (ذی الجوشن) is معاذ per Muharram ki 9wi tarikh ko pahuncha tha Hazrat Imam Hussain Raziyallahu Anh us Waqt Apne kheme Ke Samne Baithe Huye the ESI halat mein kuch uoong aakar Aankh Band Ho Gayi aur fir Ek Awaz ke sath Bedar ho gaye aapki ہمشیرہ Zainab Raziyallahu Anha ne Yeh Awaz Sunni to dodi aai Aur Wajah puchhi Farmaya ke Mane Rasoolullah ﷺ ko Khwab Mein Dekha Hai Farmaya ke Tum Ab Hamare Paas aane wale ho ہمشیرہ Yeh sunkar RO Padi Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne tasalli Dee ESI halat mein شمر ka lashkar Samne Aa Gaya Aapke bhai Abbas Raziyallahu Anh Aage Badhe or حریف muqabil Se guftgu Hui usne Bina mohlat قتال ka Elaan sunaya Abbas Raziyallahu Anh ne Akar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko ittila dee(1).
[(1)📚Sabiq:558/5]

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH NE EK RAAT IBADAT GUZARI KE LIYE MOHLAT MANGI:-
💠Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke Unse Kaho Aaj Ki Raat قتال Multawi kar do take Mein Aaj Ki Raat Mein wasiyat Aur Namaz Dua Aur astagfar kar Saku. شمر aur Umar Bin سعد ne aur logo se Mashwara karne ke baad Mohlat dedi aur Wapas ho gaye(2).
[(2)📚 Al'Badayah:589/5]

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KI TAQREER EHLE BAIT KE SAMNE:-
☣ Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne Apne ehle bait aur ashab ko Jama Karke Ek khutba Diya jisme Farmaya mai Allah Tala ka shukr Ada Karta Hoon, Rahat mai bhi aur Musibat mai bhi, Ya Allah main aap ka shukr Ada karta hoon ke aapne Hame Sharafat nabuwwat se nawaza aur aapne hame Quran sikhaya Aur deen Ki samajh ata Farmai Hame aap apne Shukr guzar bando Mein dakhil farma Lijiye. Iske baad Farmaya ke Mere ilm Mein Aaj Kisi shakhs Ke Saathi ese wafa شعار w naikokar nahi hai Jaise Mere Saathi aur Na Kisi ehle bait Se Ziyada Sabit qadam Nazar Aate Hain aap logo ko Allah Tala meri taraf se jazaye Khair ata farmaye main samajhta Hoon ke kal Hamara Aakhiri Din Hai main aap sab ko Khushi Se Ijazat deta hoon ke Sab Is Raat Ki tareeki mein متفرق ho jao aur jaha panah mile chale jao Or Mere ehle bait mein se ek-ek ka Hath pakdo aur mukhtalif ilaqo Mein fel jao kyonke Dushman Mera talabgaar Hai Wo Mujhe payega to dusro ki taraf التفات na karega Yeh Taqreer sunkar Aapke bhai aur aulad aur bhaiyo ki aulad Abdullah Bin Jaafar Raziyallahu Anhuma ke sahab zade یک Zaban Ho Kar bole ke wallah Hum Hargiz esa Na Karenge Hame Allah Tala aap ke baad Baqi na Rakhe.
☪Fir بنو Aqeel ko khitab karke Farmaya Ke Tumhare Ek Buzurg Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh Shaheed Ho chuke hain Wahi Kaafi Hai Tum Sab Wapas ho jao mai tumhe Khushi Se ijazat deta hoon unhone Kaha Hum logo ko kya Moonh dikhayenge ke Apne buzurgo aur bado ko Maut Ke Samne Chhor Kar Apni Jaan Bacha aaye Balke Wallah Hum Aap Par apni Jaane aur Aulad w amwaal qurban kar denge Muslim Bin عوسجہ ne isi tareh Ek joshili Taqreer ki Ke Jab tak mere Dam mein Dam Hai main aapke Samne قتال Karta hua jaan de dunga(1).
[(1)📚 Al'Badayah:588/5]

⚜SAEED BIN ABDULLAH AL'HANFI KA JAWAB:-
❇Saeed Bin Abdullah Al'Hanfi ne farmaya: Allah Ki qasam Jab Tak Ham Aap Ki Hifazat kar sakte hain isper hargiz kotahi na Karenge aur na hi aap ko Tanha Chhorenge aur Bakhuda Agar Mujhe Maloom Hota ke Aap Ki Hifazat Mein hazaar Baar qatl kar diya jao Jisse aapki Jaan mehfuz ho jaye aur aapke ghar Walo Ki Jaan bach Jaye to Mein zaroor Iski Tamanna Karta par kya karu mere paas to ek hi Jaan Hai (aur Jab Tak yeh Jaan Rahe Aap Ki Jaan Ko Khatrah la'haq hone na dunga).
⚜ ABBAS BIN ALI RAZIYALLAHU ANH KA JAWAB:-
لا أرانا اللّٰه يوم فقدک، ولا حاجة لنا فى الحياة بعدک
💠"Khuda Hame aap ki wafat ka din na Dikhaye aap ke baad Hame Zindagi Ki Zaroorat Nahi Hai"
(📚 Al'Badayah:589/5)

☣Aapki ہمشیرہ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Bekarar hokar rone Lagi To Apne tasalli Dee aur wasiyat farmai.
⚜AAPKI ہمشیرہ ZAINAB RAZIYALLAHU ANHA KI BEQARARI:-
☪ Ali Bin Hussain Raziyallahu Anh, Zainul Aabideen farmate hai ke Jis subeh Mere walid Shaheed kar Diye Gaye us raat mai khema mai betha tha Meri fufi Zainab Meri Timardari kar rahi thi Mere Walid Hussain Raziyallahu Anh Apne Sathiyon ke saath Kone mai gaye Abu Zar Gaffari Ke Gulam (aazad shudah) aap ki Talwar durust kar rahe the uss Waqt Mere walid ne Chand shair padhe Jo baar baar dohrane Se Mujhe Yaad ho gaye:
يا ده‍ر اُفٍ لک من خليل * کم لک بالاشراق والاصيل من صاحب او طالب قتيل * والده‍ر لا يقنع بالبديل انما الامر الىٰ الجليل * و کل حَيّ سالک السبيل
❇"Aye Zamane Tere dost hone par Afsos hai Teri Kitni subeh w shame hai kitne hi Sathi Maqtool ke (kitne hi log Mar Chuke) Talib hai per Zamana Unka badal lane Mein Bukhl nahi karta har muamla khudaye Jaleel ke supurd hai Har Zindah ko is (maut) ke Raste chalna hai".
💠 Main samajh gaya ki koi Musibat Aane Wali hai Jab Meri fufi Zainab Ne Yeh as'aar Sune To be'qabu Ho Kar Kehne Lagi:
واثکلاه! ليت الموت اعدمنى الحياة اليوم ماتت امى فاطمة وابى على، وحسن اخى، وياثمال الباقى فنظر اليه‍ا وقال يا اخية لا يذه‍بن حلمک الشيطان فقالت بابى انت وامى يا ابا عبد اللّٰه استقتلت؟ وخرَّت مغشيا عليه‍ا فقام اليه‍ا فصب على وجه‍ه‍ا الماء وقال يا اخيه اتق اللّٰه واصبرى بجزاء اللّٰه واعلمى ان اه‍ل الارض يموتون وإن أه‍ل السماء لا يبقون وان کل شئي ه‍الک الا وجه اللّٰه الذى خلق بقدرته ويميته‍م بقه‍ره وعزمه ويعيده‍م فيعبد ونه وحده وه‍و فرد وحده الخ
(📚 Al'Badayah:589/5)
☣"Haaye afsos Kash Ke Maut Meri Aaj Ki Zindagi Khatm kar chuki hoti Meri Maa Fatima Mere Walid Ali Mera Bhai Hasan wafat paa chuke aye اسلاف ke namune aye بقیتہ السلف Aap Ki Awaz par Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ne dekha or Farmaya: Meri chhoti Pyari behen Shaitan kahi tumhara حلم Khatm na karde Sabr karo Kehne Lagi mene Gam Ka Izhar hi nahi kiya Aur Gam Se choor ho kar behosh ho gayi aapne unke Chehre par Pani Dala aur Farmaya Allah se daro Sabr karo Bakhuda Zameen Par Basne wali har makhluq ko Fana hona hai aur Aasman Walo Ko Bhi بقا nahi siwaye us zaat Ke Jisne apni qudrat Ka ملہ se aalim paida kiya Sab ko marna hai woh maut Ka Mazah chakhayega or Dobara Zinda Karega log sirf usi Ki Ibadat Karenge wahi Tanha Baqi rahega".

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KI WASIYAT APNI ہمشیرہ OR EHLE BAIT KO:-
☪ Meri behen main tumhe Khuda Ki qasam deta hoon ke Meri Shahadat par Tum kapde faadna ya سینہ کوبی wagairah hargiz na karna, Awaz se Rone chillane Se Bachna.
🌻 Afsos Ke Aaj Hazrat Hussain Raziyallahu Anh se Muhabbat Ka Dawa Karne Wale Hi aap ki is Aakhiri wasiyat ki Na sirf mukhalifat Karte Hain; balke isko deeni شعار Samajh Kar Ada Karte Hain.
اِنَّا لِلّٰهِ وَاِنَّا اِلَيْهِ رَاجِعُوْنَ
❇ Yeh wasiyat farma kar aap Bahar Aa Gaye aur apne ashab ko Jama Karke tamaam shab tehejjud or dua w astagfaar mai mashgul Rahe.
⚜DUA-E-HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH BIN ALI RAZIYALLAHU ANH:-
💠 Jab Subah ke Waqt dushmano Ka Samna Hua to Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne Haath Utha Kar Yeh Dua kee:
الله‍م انت ثقتى فى کل کرب ورجائى فى کل شدة وأنت لي من کل أمر نزل بي ثقة وعدة، فکم من ه‍م يضعف فيه الفؤاد وتقل فيه الحيله، ويخذل فيه الصديق، ويشمت فيه العدو، فأنلته بک وشکوته إليک، رغبة فيه إليک عمَّن سواک ففر جته وکشفته وکفتنيه فأنت لي ولي کل نعمة وصاحب کل حسنة منته‍ى کل غاية
(📚 Al'Badayah:582/5)
☣"Khudaya aap Hi Meri Har Mushkil Mein mazboot qilah hai, Har pareshani mein meri Umeed hai, aur aap hi Aane wali Har musibat mein rahat رساں hai, Kitne Hi gam aise hai Jo Dilo ko kamzor kar dete Hain, Unse chhutkare Ki Raahe kam ho jati hai, dost bhi is Moqe Par nakaam ho Jate Hain, Dushman khush ho Jate Hain, mene aap se Manga aur aap hi ki taraf ruju Kiya, aap ke Alawah Kisi Taraf rugbat nahi ki, aapne Meri in Pareshaniyo ko Door Kar Diya, Khudaya aap hi meri Har neemat ke Waali Hai, her bhalai mai Mere madadgar w Sathi hai, Har Inayat ki aap hi Intiha hai".
☪ Yeh Aashura Ki Raat Thi Subah ko Yaume Ashura Roz Juma aur ek riwayat ke muwafiq roz شنبہ tha Subah ki Namaz se Farig Hote Hi Umar Bin سعد lashkar le kar Samne Aa Gaya Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke sath us Waqt kul 72 ashab the 32 sawaar or 40 piyadah aapne bhi Muqable ke liye Apne Ashab ki Saf Bandi farmai.
🌻M (میمنہ) mai Zubair Bin القین commander Muqarrar Kiya میسرہ mai Habeeb Bin مطہر ko Aur jhanda apne bhai Abbas Bin Ali Raziyallahu Anh ke Haath Mein Diya khaimo ke aage saf bandhi gai khaimo mai aurte thi is liye apne peechhe rakha tha ke dushman na pahunch paaye or khaimo ke peechhe se bhi dushman khaimo per hamlawar na ho paye. Fir Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ne apne khaima mai dakhil hokar gusl farmaye mushk or نورہ khub apne jism or balo mai lagaya aapke sathiyo ne bhi isi tareh kiya kisi ne kaha yeh waqt thoda hi khushbu lagane ka hai dusre sathi ne jawab diya isse Ziyadah khushi ka waqt konsa hai Zaid Bin Hussain ne kaha bakhuda meri qaum janti hai mene batil ko na jawani mai pasand kiya or na hi budhape mai or ab mai bada hi masrur hu ke hame shahadat milne wali hai hamare or حورین ke dermiyan sirf yeh qaum hail hai fir Hazrat Hussain Raziyallahu Anh apne ghode per sawar ho kar Quran Majeed apne samne rakh liye fir sari qaum Qibla ru hokar wahi dua mangi jo Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne mangi thi fir muqable ke liye saf bastah dushman ki taraf rukh karke khade ho gaye.
(📚 Al'Badayah:590/5)
(📚Page,77-82)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
06:04

P:9 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                          Part:-9
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜UMAR BIN سعد CHAAR HAZAR (4000) KA MAZEED LASHKAR LEKAR MUQABLAH PER PAHUNCH GAYA:-
💠Abhi Yeh hazraat isi guftgu mai the ke Ibne زیاد ne Umar Bin سعد ko Majboor Karke 4000 foj ke sath Muqable ke liye bhej diya Umar Bin سعد ne Har chand chaha ke isko Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Ke Muqable ki musibat Se nijaat Mil Jaye magar Ibne زیاد ne koi baat na Suni aur isko Muqabl3 ke liye bhej diya(2).
[(2)📚Sabiq]

💠Waqiah yeh hai ke Ibne زیاد ne Umar Bin سعد ko Kufa Ka lashkar dekar Ravana Kiya aur Kaha Ke Hussain Bin Ali Raziyallahu Anhuma se Jang kar ke Farig ho jao Umar Ne Kaha tum mujhe dusri zimmedari do par mai Isse maazrat khawan Hoon ke Nawasa-E-Rasool ﷺ ke Khoon Se Apne Hathon ko rang lu. Ibne زیاد ne kaha thik hai Mujhe Teri maazrat Qubool Hai par jitne Shehro Ka Tujhe waali Banaya Ho usse bhi معزولی zaroori hai Umar Ne Kaha Mujhe Gor karne ka mauqa do uske baad Umar Bin سعد Apne mutalliqeen Se mashwarah Lene Laga Har Koi ne usko roka Ke is Kaam ke liye qadam na uthana Umar Ke Bhanje Hamzah Bin مغیرہ Bin شعبہ ne kaha: "إياک أن تسير إلى الحسين فتعصى ربک وتقطع رحمک فو اللّٰه لأن تخرج من سلطان الأرض کله‍ا أحب إليک من أن تلقى اللّٰه بدم الحسين، فقال: انى افعل انشاء اللّٰه تعالىٰ"
❇ Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh se قتال ke Irade se Safar karne se bacho Warna Rab Ke Na Farman Ho Jaoge or قطع rehmi ke bhi مرتکب hoge Bakhuda Tumhara Sari Duniya Ke Badshah ke khilaf Jang ke liye nikalna Aasan hai isse ke kal Tum Hussain Raziyallahu Anh ka khoon Apne Sar le kar Allah ke Darbar Mein Hazir Ho. Umar Ne Kaha Insha Allah main iski koshish karunga lekin Ibne زیاد ne dhamki Di, qatl or معزولی se daraya.
(📚 Al'Badayah:587/5)

🌻Umar Bin سعد Yahan pahuncha to Hazrat Hussain Raziyallahu Anh se Kufa aane ki wajah puchhi aapne pura Waqiah batlaya Or yeh Ke Mai ehle Kufa ka Bulaya hua Aaya Hoon Agar ab bhi unki raaye Badal Gayi Hai To Wapas jane ke liye taiyyar Hoon Umar Bin سعد ne Ibne زیاد ko is mazmoon Ka Khat likha ke Hussain Raziyallahu Anh Wapas jane ke liye taiyyar hai.

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH PER PANI BAND KAR DENE KA HUKM:-
☣Ibne زیاد ne jawab Diya ke Hussain Raziyallahu Anh Ke  lSamne sirf ek baat Rakho ke Yazeed ke haath par بیعت Kare Jab Woh Aisa Kar Le To fir Hum gor Karenge ke unke Saath Kya Muamla kiya jaye aur Umar Ko hukm Diya ke Hussain Raziyallahu Anh or unke رفقاء per pani bilkul band kar do you yeh waqia Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki Shahadat se 3 Roz pehle ka hai Un Hazraat Par pani bilkul band kar diya Gaya Yahan Tak Ke Yeh Sab hazraat piyas se pareshan Ho Gaye To Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne apne bhai Abbas Bin Ali Raziyallahu Anhuma ko 30 sawar or 30 piyado ke sath Pani lane ke liye bhej diya Pani Lane Mein Umar Bin سعد ki foj se Muqabla Bhi hua Magar Baal aakhir woh 20 مشکیں Pani Ke Bhar laaye(1).
[(1)📚Sabiq:588/5]

⚜HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH OR UMAR BIN سعد KI MULAQAAT OR مکالمہ:-
☪ Iske Baad Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne Umar Bin سعد ke paas Paigam bheja ke aaj raat ko hamari Mulaqaat Apne Apne lashkar Ke Saath Ho Jaani chahiye Take Hum Sabke Samne guftgu kare Umar Bin سعد Us paigam ke mutabiq raat ko mile.

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA IRSHAD KE 3 BAATON MAI SE KOI IKHTIYAR KAR LO:-
💠Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke hamare bare mai aap 3 surto mai se koi ikhtiyar kar lo 1.mai jahan se aaya hu wahi wapas chala jaau. 2.ya mai Yazeed ke paas pahunch jaau or khud usse apna muamla tay karu. 3.ya mujhe musalmano ki kisi sarhad per pahuncha do jo haal waha ke aam musalmano ka hoga mai usi mai basar karunga baaz logo ne aakhiri 2 surto ka inkar kiya ke Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne yeh 2 surte paish nahi farmai.
🌻Umar Bin سعد ne Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki yeh taqreer sunkar fir Ibne زیاد ko khat likha ke Allah Tala ne jang ki aag bujha di or musalmano ka kalimah متفق kar diya. Mujhe Hazart Hussain Raziyallahu Anh ne 3 surto ka ikhtiyar diya hai or zahir hai ke inme aapka maqsad pura hota hai or ummat ki isme swalah w falah hai(1).
[(1)📚Sabiq:592/5]

⚜IBNE زیاد KA UN SHARTO KO QUBUL KARNA OR شمّر KI MUKHALIFAT:-
❇Ibne زیاد bhi Umar Bin سعد ke us khat se mutasir hua or kaha ke yeh khat ek ese shakhs ka hai jo ameer ki ita'at bhi chahta hai or apni qaum ki aafiyat ka bhi khwahishmand hai hamne isko qubul kar liya.
💠Shummar (شمّر) ذی الجوشن ne kaha ke kya aap Hussain Raziyallahu Anh ko mohlat dena chahte hai ke quwwat hasil karke fir tumhare muqable per aaye woh agar aaj tumhare hath se nikal gaye to fir tum unper kabhi qabu na paa sakoge mujhe isme Umar Bin سعد ki sazish malum hoti hai; kyonke mene suna hai ke woh raato ko aapas mai baate karte hai haan aap Hussain Raziyallahu Anh ko isper majbur kare ke woh aapke paas aa jaye fir aap chahe saza de chahe muaaf kar de Ibne زیاد ne شمّر ki raaye qubul karke Umar Bin سعد ko isi mazmoon ka khat or khud شمّرذی الجوشن hi ke hath Umar Bin سعد ke paas bheja or yeh hidayat kar di ke agar Umar Bin سعد is hukm ki tameel foran na kare to usko qatl kar diya jaye or uski jageh tum khud lashkar ke ameer ho(2).
[(2)📚Sabiq]
(📚Page,74-76)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
06:02

P:8 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                          Part:-8
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜IBNE زیاد KI TARAF SE حربن YAZEED 1000 LASHKAR LEKAR PAHUNCH GAYE:-
🌻Hazrat Hussain Raziyallahu Anh or unke sathi chal rahe the ke dopeher ke waqt door se kuch cheeze harkat karti hui nazar aai gor karne per malum hua ke ghod sawar foj hai yeh dekh kar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh or unke sathiyo ne ek pahadi ke qareeb pahunch kar محاذ jang banaya yeh hazraat محاذ ki taiyyari mai masruf hi the ke 1000 ghod sawar foj حربن Yazeed ki قیادت mai muqabla per aa gai or unke مد muqabil aa kar padau dala.
☣Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne apne ashab se farmaya kesab log khub paani peekar or ghodo ko pilakar seraab ho jaao حربن Yazeed ko Hussain Bin نمیر ne 1000 sawaro ki foj dekar قادسیہ se bheja tha yeh or uska lashkar aakar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke muqabil theher gaye yaha tak ke Zohar ka waqt aa gaya.

⚜DUSHMAN KI FOJ NE BHI HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KE PEECHHE NAMAZ ADA KI:-
☪Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne apne Muazzin ko azan dene ka hukm diya or sab namaz ke liye jama ho gaye to Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne fareeq muqabil ko sunane ke liye ek taqreer farmai jisme hamdo صلوة ke baad Farmaya: "aye logo! Mai Allah Tala ke samne tumhare samne yeh عزر rakhta hu ke mene us waqt tak yaha aane ka iradah nahi kiya jab tak tumhare beshumar khatut or وفود mere paas nahi pahunche jisme bayan kiya gaya tha ke is waqt tak hamara koi imam or ameer nahi aap aajaye to ummeed hai ke Allah Tala aapko hamari hidayat ka zariya bana de. Mai tumhare bulane per aa gaya ab agar tum apne waado or عہدوں per qayam ho to mai tumhare sheher Kufa mai jata hu or agar ab tumhari raaye badal gai hai or mera aana tumhe nagawar hai to mai jahan se aaya tha wahi wapas chala jata hu. Taqreer sunkar sab khamosh rahe Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne Muazzin ko iqamat kehne ka hukm diya or حربن Yazeed se khitab karke Farmaya ke tum apne lashkar ke sath alheda namaz padhoge ya hamare sath حر ne kaha ke aap hi namaz padhaye ham sab aapke peechhe namaz padhenge Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne Namaze Zohar padhai or fir apni jageh tashreef le gaye حربن Yazeed apni jageh chale gaye. Uske baad namaze Asr ka waqt aaya to fir Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne namaz padhai or sab shareek jamat huye Asr ke baad fir Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne ek khutbah diya(1).
[(1)📚Ibne Kaseer:583/5]

⚜MAIDAN-E-JUNG MAI HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA DUSRA KHUTBAH:-
💠Khutbe mai hamdo sana ke baad Farmaya: aye logo! Tum Allah se daro or ehle haq ka haq pehchano to woh Allah Tala ki Raza ka sabab hoga Hum ehle bait is Khilafat ke liye UN logo se ziyada haqdar hai jo Haq ke khilaf uska Dawa Karte Hain Aur Tum Par Zulm w jor Ki Hukumat Karte Hain aur Agar Tum Hame na Pasand Karte Ho aur Hamare Haq Se jahil Ho aur ab Tumhari raaye woh nahi rahi Jo Tumhare Khatut Mein likhi thi aur Tumhare qaasido ne Mujh tak Pahunchai thi to main Lot Jata Hoon(2).
[(2)📚Kamil Ibne Aseer:91/4]
❇ Us Waqt حربن Yazeed ne kaha ke Hame un khatut or وفود Ki Kuch Khabar Nahi ke woh kya hai aur Kisne likhe hai? Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne 2 thele khatut se bhare huye nikale or unko un logo ke samne ulat diya حر ne kaha ke beharhaal ham in khatut ke likhne wale nahi or hame Ameer ki taraf se yeh hukm mila hai ke ham aapko us waqt tak na chhore jab tak ke Ibne زیاد ke paas Kufa na pahuncha de Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne jawab diya ke isse to maut behtar hai uske baad Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne apne sathiyo ko hukm diya ke sawar ho jaao or wapas lot jaye magar ab حربن Yazeed ne us irade se roka to Hazrat Hussain Raziyallahu Anhki zaban se nikla tumhari maa tumhe roye tum kya chahte ho? حربن Yazeed ne kaha ke ba'khuda agar tumhare siwa koi dusra aadmi meri maa ka name leta to mai use bata deta or uski maa ka isi tareh zikr karta lekin tumhari maa ko burai ke sath zikr karna kisi ki qudrat mai nahi. Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke achcha batao tumhara kya iradah hai? حربن Yazeed ne kaha ke iradah yeh hai ke aapko Ibne زیاد ke paas pahuncha du Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya to fir mai tumhare sath hargiz na jaunga حر ne kaha ke to fir mai ba'khuda aapko na jane dunga kuchh der tak yahi ردوکر hoti rahi.

⚜HARBAN (حربن) YAZEED KA اعتراف حق:-
🌻Fir حر ne kaha ke Mujhe aapse قتال karne ka hukm nahi Diya gaya hai Balke mai aapse us Waqt Tak Juda Na Hou jab Tak ke aapko Kufa na pahuncha du isliye aap Aisa kar sakte hain ke koi esa rasta ikhtiyar Kare jo na Kufa pahunchaye na Madina Yahan Tak Ke Main Ibne زیاد ko Khat likhu aur aap bhi Yazeed ko ya Ibne زیاد ko likhe Shayad Allah Tala Mere Liye koi Aisa مخلص Paida karde ke main aapke Muqable aur aapki ایزا se bach Jaau isliye Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne عُزَيْبْ or  قاَدِسیہ ke Raste Mein baai janib Chalna Shuru kar diya aur حرمع Apne lashkar ke unke Saath Chalta Raha isi اثناء mai Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne fir Ek khutba Diya jis mein humdo Sana ke baad Farmaya(1).
[(1)📚Sabiq]

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA TEESRA KHUTBA:-
❇"Aye logo! Rasoolullah ﷺ ne farmaya hai ke Jo shakhs Kisi Aise Badshah Ko Dekhe Jo Allah ke haraam ko Halal samjhe aur Allah Ke عہد ko tod de Sunnat E Rasool ﷺ ki mukhalifat kare Allah Ke bando ke sath Gunah aur Zulm w عدوان ka muamla kare Or yeh shakhs uske Aise afaal w aamal dekhne ke bawajood kisi qaul ya فعل se uski mukhalifat Na Kare to Allah Tala Ke zimme hai ke usko bhi Usi zalim Badshah ke sath Usi ke maqam (Dozakh) main Pahuncha de. Aur aap ko yeh bhi Maloom Hai Ke Yazeed or uske امراء w حکام ne Shaitan Ki Pairwi ko ikhtiyar kar rakha hai or رحمن Ki Ita'at Ko Chhor Baithe Hain Aur Zameen Mein fasad fela Diya hadude Ilahi ko معطل kar diya Islami Baitul maal ko apni milk samajh liya Allah Ke haraam ko Halal Kar Dala aur haram ko Halal Thehra Diya Aur Main dusro Se Ziyada haqdaar Hoon aur mere paas Tumhare khatut aur وفود tumhari بیعت Ka paigam Lekar pahunche Hain Or yeh Ke Tum Mera Saath Na chhoroge Aur meri jaan ko apni Jaano ke barabar samjhoge ab agar tum apni بیعت per qayam Ho to Hidayat paoge main Rasoolullah ki lakhte Jigar Fatima Raziyallahu Anha ka beta Hoon Meri Jaan aap logo ki Jano ke sath aur mere ehlo Ayaal aap logo ke ehlo ayaal ke sath Tum logo ko Mera Ittiba karna chahiye.
☣ Aur agar tum aisa nahi karte balke Meri بیعت Ko todte Ho or mere عہد se fir jate ho to Woh Tum Logo Se Kuch baeed Nahi Kyonke Yahi kaam tum mere baap Ali Raziyallahu Anh aur bhai Hazrat Hasan Raziyallahu Anh aur Chacha zaad bhai Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh ke saath kar Chuke Ho.
☪ Aur Woh Aadmi Bada fareb mein hai jo Tumhare عہد w paiman se Dhoka Khaye so Tumne Khud Apna aakhirat ka hissa zaya kar diya aur apne Haq Mein Zulm Kiya Or jo shakhs بیعت Karke todta hai Woh Apna nuqsan karta hai aur qareeb Hai Ke Allah Tala Mujhe Tumse مستغنی farma de. والسلام" N(1).
[(1)📚Kamil Ibne Aseer:91/4]

💠Harban (حربن) Yazeed ne khutba sunkar Kaha Ke main aap ko apni jaan ke baare mein Khuda Ki qasam deta hoon kyonke mai yaqeen ke sath Jaanta Hoon ke agar aap قتال Karenge to qatl kiye Jayenge Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke kya tum Mujhko Maut Se Darana chahte ho Jo Main keh raha hoon isper tawajjeh nahi date Mai aapke Jawab Mein Sirf Wahi keh sakta Hoon Jo Rasoolullah ﷺ ki imdad ke liye nikalne wale Ek sahabi ne apne bhai ki nasihat ke jawab Mai Kaha Tha bhai ne usse kaha ke tum kahan Jate Ho qatl kar Diye Jaoge to Us sahabi ne Jawab Mein Yeh شعر padhe:
سامضى وما بالموت عار على الفتى * اذا ما نوى خيراً وجاه‍د مسلما فإن عشت لم اندم وإن مت لم الم * کفى بک ذلا أن تعيش وترغما
🌻"Yani Main Apne irade Ko pura karunga aur Maut mai Kisi Jawan ke liye koi aar nahi jabke uski Niyat khair ki Ho aur Musalman ho kar jihad kar raha ho fir Agar Main Zindah Reh Gaya to naadim Na Hounga aur Agar Mar Gaya to qabil Malamat Na Hounga aur Tumhare Liye isse badi zillat kya hai ke zaleel w khwar hokar Zindah Rahoon".
☣Harban (حربن) Yazeed Kuch Toh pehle se ehle bait ka ehtram Dil Mein Rakhta tha Kuch khutbo se Mutasir ho raha tha yeh kalam sunkar Unse alheda Ho Gaya aur Saath Saath Chalne Laga(1).
[(1)📚 Al'Badayah:585/5]

⚜TIRMAH (طرماح) BIN ADI KA معرکہ MAI PAHUNCHNA:-
☪ Isi Haal mein 4 Aadmi Kufa se Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke madadgar pahunche Jinka Sardaar طرماح Bin Adi tha. Jo Yeh Ash'aar gungunate Huye aa raha tha:
ياناقتى لا تذعرى * و شمرى قبل طلوع الفجر بخير رکبان و خير سفر * حتى تعلىٰ بکريم النجر الماجد الحر رحيب الصدر * اتى به اللّٰه لخير امر ثمت ابقاه بقاء الده‍ر
(📚Ibne Kaseer:586/5)
💠"Aye meri uoontni Meri zaat Se khof Na Kar Tulu Fajr Se Pehle Pehle behtareen Sawar ke sath behtareen Safar se taiz chal kar Jana Yahan Tak ke Kareem الاصل buzurg Sharif aur kushadah seenah wale shakhs ke paas Jaa utarna Khuda Ne use behtareen Kaam ke liye Laya Hai Zamana jab tak Baqi Rahe uski bhi بقاء hai".

❇Harban (حربن) Yazeed Ne Chaha ke Unhe Giraftaar Karle ya wapas kar de Magar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke Yeh mere madadgar aur Rafeeq hai Inki aise hi hifazat Karunga Jaise Apni Jaan ki Karta Hoon حربن Yazeed Ne unko Aane Ki Ijazat De Di Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne UN logo se Kufa ke halaat Dariyaft kiye unhone batlaya Ke Kufa ke jitne Sardaar the UN Sab Ko badi badi rishwate Di Gayi aur unke thele Bhar Diye gaye ab woh sab Aap Ke mukhalif Hai; Albatta awam ke قلوب Aap Ke Saath Hain Magar Iske bawajood jab Muqabla hoga to Talware Unki bhi aapke Muqable par Aayegi.

⚜TIRMAH (طرماح) BIN ADI KA MASHWARAH:-
🌻TIRMAH (طرماح) Bin Adi jab Hussain Raziyallahu Anh ke sathiyo Mai Aakar shamil Huye to aap se Arz Kiya Ke Main dekhta hoon ke aap ke saath to koi quwwat aur Jamat nahi Agar apke قتال ke liye حربن Yazeed ke Mojudah Lashkar Ke Siva Koi Bhi Na Aaye tab bhi aap inper gaalib nahi aa sakte Aur Main To Kufa Se nikalne se pehle Kufa Ke Samne aapke Muqable par Aane wala Itna Bada lashkar dekh chuka hoon Jo Is Se Pehle Meri Aankh ne Kabhi Na Dekha Tha main aap ko Khuda Ki qasam deta hoon ke Ek Balisht bhi Unki Taraf Na Badhe aap mere saath Chale main aapko Apne Pahaad آجا mai thehra dunga jo nihayat mehfuz qila Jaisa Hai hamne ملوک غسان اور ضمیر or Luqman Bin منزر Ke Muqable mein isi Pahaad mein panah li aur Hamesha Kamiyab huye Aap Yahan jakar muqeem Ho Jaye fir آجا or سلمی Dono Pahaado par Basne Wale qabilah طے ke logo ko bulaye Bakhuda 10 Din na guzrenge ke is qabilah Ke Log piyadah aur Sawar aap ki madad ke liye aa jayenge.
☣ is Waqt agar aap ki Raye Muqablah hi ki Hoto main aapke liye 20,000 Bahadur Sipahiyo ka zimmah Leta Hoon Jo aapke Samne apni Bahaduri ke Johar dikhayenge aur jab tak Unme Kisi ek ki Aankh bhi chamakti Rahegi Kisi Ki Majal nahi ke aap tak pahuch sake Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke Allah Tala aap ko aur aapki qaum ko Jazaye khair ata farmaye Magar Hamare aur حربن Yazeed ke Darmiyaan ek baat ho chuki hai ab hum Uske paband Hain uske sath Kahi nahi ja Sakte. Aur Hame kuch pata nahi ke Hamare Saath Kya hone wala hai طرماح Bin Adi rukhsat ho gaye aur apne sath Saamaan رسد Lekar Dobara aane ka Wada Kar Gaye Aur fir aaye bhi Magar Raste Mein Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki Shahadat ki galat Khabar Sun kar lot gaye(1).
[(1)📚 Al'Badayah:586/5]

⚜ HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA KHWAB:-
☪ Is Taraf Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Chalte Rahe or نصر بنی مقاتل tak pahuch gaye Yahan pahunch kar Aap Ko Zara غنودگی aai اِنَّا لِلّٰهِ وَاِنَّا اِلَيْهِ رَاجِعُوْنَ khate Huye Bedar huye aapke sahab zade Ali Akbar ne suna to Ghabra kar Samne Aaye aur Puchha Abba Jaan Kya Baat Hai Apne Farmaya Ke Maine Khwab Mein Dekha ke Koi Ghod Sawar mere paas Aaya aur usne kaha ke kuch log chal rahe hain aur Unki maute unke saath chal rahi hai is se main Samjha ke yeh Hamari Maut hi ki khabar hai(2).
[(2)📚 Al'Badayah:586/5]

⚜ALI AKBAR RAZIYALLAHU ANH KA MOMINANAH ثبات QADAM:-
💠Sahab zade ne arz kiya ke abba jaan kya ham haq per nahi aapne farmaya: نعم hai. Us zaat ki qasam jiski taraf sab bandgaan khuda ka ruju karte hai ke balashaba ham haq per hai sahab zade ne arz kiya fir hame kya dar hai jabke ham haq per mar rahe hai Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne unko shabashi dee or farmaya ke Allah Tala tumko jazaye khair ata farmaye tumne apne baap ka sahi haq ada kiya uske baad Hazrat Hussain Raziyallahu Anh fir rawana huye maqame نینویٰ tak pahunche to ek sawar Kufa ki taraf se aata hua nazar aaya yeh sab uske intizar mai utar gaye usne aakar حربن Yazeed ko salam kiya Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko salam bhi na kiya or حر ko Ibne زیاد ka ek khat pahunchaya jisme likha tha ke jis waqt tumhe mera yeh khat mile tum tum Hussain Raziyallahu Anh per maidan tang kardo or unko khule medan ke siwa kisi panah ki jagah mai na utarne do or ese medan ki taraf le jaao jaha pani na ho or mene apne is qaasid ko hukm diya hai ke jab tak mere is hukm ki tameel na kar doge tumhare sath rahega yeh khat padhkar حر ne iska mazmoon Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko suna diya or apni majburi zahir ki ke is waqt mere sar per jasus musallat hai mai koi مصالہت nahi kar sakta.......Yeh 👈waqiah 61ھ Muharram ki 2 tareekh Baroz Jumeraat paish aaya(1).
[(1)📚Sabiq]

⚜ASHAB-E-HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA IRADAH قتال OR HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA JAWAB KE MAI قتال MAI PEHEL NA KARUNGA:-
❇ Us Waqt Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke Sathiyo mein se Zaheer Bin القین Raziyallahu Anh ne Arz kiya ke aap Dekh Rahe Hain ke har Aane wali ghadi mushkilat Mein izafa kar rahi hai aur Hamare liye maujood lashkar se قتال karna Aasan hai banusbat Iske Ke Jo iske baad aayega. Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke mai قتال Main Pehel nahi karna chahata Zaheer Ibne القین Raziyallahu Anh ne arz kiya ke aap قتال ki ibtida na kare Balke Hame us Basti Mein Le Jaye Jo Hifazat ki jagah hai Or Dariyaye فرات ke kinare par hai. Is par agar yeh log Hame roke to ham قتال kare Aap Ne Puchha ke Yeh konsi Basti hai kaha gaya ke عقر hai aapne farmaya ke mai عقر se Khuda Ki Panah Mangta Hoon. عقر K Lafzi Maani Halakat Ke Hain.
(📚Page,67-74)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
06:01

P:7 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                          Part:-7
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA KHWAB OR UNKE عزم مصمم KI EK WAJEH:-
❇Mene Rasoolullah ﷺ ko Khwab Mein Dekha Hai aur Mujhe aapki taraf se ek Hukm Diya gaya hai Main Us hukm ki بجاآوری ke liye jaa raha hoon khawan Mujh Par kuch bhi Guzar Jaye  unhone Puchha ke woh Khwab kya hai? Farmaya ke Aaj Tak Maine woh Khwab Kisi Se Bayan Kiya Hai na karunga Yahan Tak Ke Main Apne parwardigar Se Ja Milu(1).
[(1)📚Kamil Ibne Aseer:162/2]
🌻 Baal Aakhir Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko Apni Jaan aur Aulad Ke Khatraat aur sab Hazraat ke khairo khawaha نہ مشورں ne bhi unke عزم مصمم mai Koi kamzori Paida na ki aur woh Kufa Ke Liye Rawana Ho Gaye(2).
[(2)📚Ibne Kaseer:577/5]

⚜IBNE زیاد HAAKIM KUFA KI TARAF SE HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KE MUQABLE KI TAIYYARI:-
☣Ibne زیاد jo Kufa per ISI liye haakim muqarrer Kiya gaya tha ke woh Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke Muqable Mein sakht Samjha Gaya usko Jab Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki rawangi ki Itna Mili To usne Apne police Ke  officer Hussain Bin نمیر ko aage bheja ke قادسیاہ Pahunchkar Muqable ki taiyyari kare Hazrat Hussain Raziyallahu Anh jab maqame حاجر per pahunche to ehle Kufa  ke naam Ek Khat Likh kar قیس Bin مِسَرْ بَد ke haath Ravana Kiya Khat Mein Apne Aane Ki ittila aur Jis Kaam ke liye unko ehle Kufa Ne Bulaya tha usme Puri koshish karne ki Hidayat thi.

⚜KUFA WALO KE NAME HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA KHAT OR QAASID KI DILERANA SHAHADAT:-
☪Qais (قیس) Jab yeh khat Lekar قادسیاہ Tak pahunche to Yahan Ibne زیاد ki police ke intizamaat the unko Giraftaar Karke Ibne زیاد ke paas bhej diya Gaya Ibne زیاد ne unko hukm Diya ke قصر imarat ki chhat par Chadh kar (معاذ اللّٰه) Hazrat Hussain Raziyallahu Anh per sab w شتم or لعن طعن kare.
💠Qais (قیس) chhat par Chadh Gaye aur Allah Tala ki humdo Sana Ke Baad Ba'awaz Buland Kaha Ke:

❇ Aye ehle Kufa! Hussain Raziyallahu Anh Bin Ali Raziyallahu Anh Hazrat Rasoolullah ﷺ ki Sahab Zaadi Fatima Raziyallahu Anha ke صاجزادے or us waqt خلق الله mai sabse behtar hai Main Tumhari Taraf Unka bheja Hua Qaasid hu Woh Maqame حاجر tak pahunch chuke hain Tum Unka istaqbal karo uske baad Ibne زیاد ko Bura Bhala Kaha aur Hazrat Ali Raziyallahu Anh ke Liye Duaye magfirat ki. Ibne زیاد Unki Dilair aur Jaanbaazi par Hairan Reh Gaya Hukm Diya ke unko قصر ki Bulandi se Neeche fake diya jaye. Zalimo ne Uske hukm ki tameel ki Bulandi se Neeche Girkar Tukde ho gaye(1).
[(1)📚La'Kamil La'Ibne Aseer, Ibne Kaseer:580/5]

⚜RAAH MAI ABDULLAH BIN مطیع SE MULAQAAT OR UNKA WAPSI KE LIYE ISRAR:-
☣ Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Kufa ki taraf Badh rahe the Raste Mein Ek padau par Achanak Abdullah Bin مطیع se Mulaqaat Ho Gayi Hazrat Hussain Raziyallahu Anh Ko Dekhkar Khade ho gaye aur Arz kiya Ke Mere maa baap Aap Par Qurban ho aap kahan ja rahe hain? Aur Kya qasr Hai Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne Apna Iradah batlaya Abdullah ne الحاح وزاری se Arz kiya ke.
☪Aye Ibne Rasoolullah! Main tumhe Allah ka aur Izzate Islam ka wasta De kar Kehta Hoon ke aap is Irade se Ruk Jaye main aapko Allah Ki qasam deta hoon or حرمت Quresh or حرمت Arab ka wasta deta hoon ke agar aap Bani امیہ se unke اقتدار ko lena chahenge to Woh aapko qatl kar denge aur Agar Khuda na khwasta unhone Aap Ko qatl kar Dala To fir Duniya Mein Koi Aisa Na rahega Jisse unko Koi Khof Ho Bakhuda aapki بقاء ke sath Islam ki aur Quresh ki aur Pure Arab ki حرمت w Izzat Bawastah hai aap Aisa Hargiz Na Kare Aur Kufa na jaye Apni Jaan Ko Bani امیہ K Hawale Na Kare(1).
[(1)📚Ibne Aseer]

❇ Magar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne Apna Irada multavi na Kiya aur Kufa ki taraf Ravana Ho Gaye. Abdullah Bin اسدی مزری Bi مشمعل اسدی kehte hain ke Hum Hajj Se Farig hone ke baad foran Hazrat Hussain Raziyallahu Anh se Jaa mile Raste Mein qabila بنو اسد ke ek shakhs se Mulaqaat Hui Sayyedna Hussain Raziyallahu Anh ne usse Kufa ke halaat puchhna chahe fir Khamosh Reh Gaye To Hum Dono uske paas jakar احوال ka jayezah liya to woh Kehne Lage: qasam Bakhuda Mere nikalne se pehle hi Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh or ہانی Bin Urwoh ko qatl kar diya Gaya.
(📚 Al'Badayah:581/5)
🌻 Aur Meri Aankhon Ne Dekha ke unke Pairo ko pakad kar Kufa Ke bazaron Mein kheench kar Le Jaya ja Raha Tha Hum Dono Ne Yeh Khabar aap ko Sunai to bahut Gam ka izhaar Kiya kai baar انا لله padhe Humne Kaha: Apne baare mein Soche Apne Farmaya: "لا خير في العيش بعده‍ما" ab unke Chale jane ke baad Zindagi Mein Koi lazzat nahi.

⚜MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU ANH KE QATL KI KHABAR PAAKAR HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KE SATHIYO KA MASHWARAH:-
☣ Jaisa ke upar zikr ho chuka hai ke Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh ne Muhammed Bin اشعث se yeh عہد liya tha Khoon ke unke halaat ki ittila Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko pahuncha kar unko Raste Se Wapas Kara De or Muhammed Bin اشعث ne wade ke mutabiq Aadmi bhej kar uski ittila karai Yeh khat aur Fir unke qatl ki ittila dusre ذرائع se Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko maqame ثعلبیہ main pahunch kar Mili Yeh Khabar sunkar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke baaz Sathiyo Ne bhi unse ba'israr arz Kiya ke Khuda Ke Liye aap Ab Yehi Se lot Jaye Kyonke Kufa main aapka koi Saathi Or madadgar nahi Balke Hame قوی andesha hai ke Kufa ke yahi log jinhone Dawat Dee thi aapke Muqable par aa jayenge(3).
[(3)📚Sabiq:581/5]

⚜MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU ANH KE AZEEZO KA JOSH INTIQAM:-
☪ Magar Yeh Baat sunkar بنو Aqeel Sab khade ho gaye aur Kehne Lage Ke Wallah Hum Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh ka قصاص lenge ya unhi Ki Tarah Apni Jaan De Denge Hazrat Hussain Raziyallahu Anh bhi Ab yeh to samajh Chuke the ke Kufa mein unke Liye Koi gunjaish Nahi aur na us deeni maqsad ka ab koi امکان hai Jiske Liye Yeh آہنی عزم Lekar Chale the lekin بنو Aqeel ke us israr aur Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh ke tazah sadme se mutasir hokar Farmaya ke Ab unke baad Zindagi Mein Koi Khair Nahi aur Sathiyo mein se baaz ne Yeh bhi kaha ke aap Muslim Bin Aqeel Raziyallahu Anh nahi aap ki shaan kuch aur hai Hame Ummeed Hai Ke Jab ehle Kufa aapko Dekhenge to aapke Saath Ho Jayenge Yahan Tak ke fir Aage badhna tay Kar Ke Safar kiya gaya or maqame زیالہ pahunch kar padau dala Raste Mein jis maqam par Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ka Guzar Hota aur Un Ka maqsad Maloom Hota tha har maqam se kuch log unke sath ho jate the Yahan bhi kuch log Sath Ho Liye maqame زیالہ Mein pahunch kar Khabar Mili ke aap ke Raza'ee bhai Abdullah Bin لقیط jinko Raste Se Muslim Bin Aqeel ki taraf bheja tha Woh bhi qatl kar Diye gaye(1).
[(1)📚Sabiq]

⚜HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KI TARAF SE APNE SATHIYO KO WAPSI KI IJAZAT:-
💠Yeh khabre paane ke Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne apne sathiyo ko jama karke Farmaya Ke ehle Kufa ne hame dhoka diya or hamare tabi'een hamse fir gaye ab jiska jee chahe wapas ho jaye mai kisi ki zimmedari apne sar nahi lena chahta.
❇Is elan ke sath raste se hone wale بدوی log sab dahine baaye chal diye or ab Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ke sath sirf wahi log reh gaye jo Makkah se unke sath aaye the yahan se rawana ho kar maqame عقبہ per pahunche to ek Arab mile or kaha ke mai aapko khuda ki qasam deta hu ke aap lot jaaye aap نیزوں or talwaro ki taraf jaa rahe hai jin logo ne aapko bulaya hai agar woh khud apne dushmano se nimat'te or unko apne sheher se nikaal kar aapko bulate to waha jaana ek sahih raaye hoti lekin is haal mai kisi tareh aapka jana munasib nahi Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke tum jo keh rahe ho mujhper bhi posheedah nahi; lekin taqdeere ilahi per koi gaalib nahi aa sakta jab aap Karbala ke maidan mai utre puchha is zameen ka name kya hai? Logo ne kaha Karbala aapne farmaya: Karbo Bala (gam or aazmaish) ki jageh bilkul yahi hai Sayyedna Ali Raziyallahu Anh jab صفین ke liye jaa rahe the Karbala ke حنظل ke darakhto ke paas se guzarte to puchha ke yeh konsi jageh hai logo ne kaha: Karbala to aapne Farmaya: "کَرْبٌ وَّبَلاَئٌ" Balke Musanad Ahmad mai hai Muhammed Bin Yahya apne walid se naqal karte hai ke Unke walid Sayyedna Ali Raziyallahu Anh ke sath صفین jaa rahe the نینویٰ tak pahunche Sayyedna Ali Raziyallahu Anh ne pukara Abu Abdullah ruk jaao mene puchha kya iradah hai? Farmaya mai ek din Nabi E Kareem ﷺ ke paas gaya dekha ke aapki aankho se aansu beh rahe the mene puchha Rasoolullah ko kis cheez ne gamzadah kar diya aapne farmaya: Abhi Jibraeel mere paas se gaye or mujhe keh gaye ke Hussain dariyae فرات ke kinare qatl ho chuke or mujhse kahe ke agar aap chahe to us mitti ki boo aapko sunghau fir hath badhakar ek muththi mitti paish kiye jise dekh kar aansu beh pade.
(📚 Al'Badayah:609/5)
(📚Page,63-67)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
05:59

P:6 Cnt. Waqiah Shahadat

⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔🛡⚔
       بِسْــــــــــــــــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِـ 
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
          🕋 اَقِــــــــــمـِ الصَّـــــــــلٰوةَ🕋
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      👇🏻Topic👇🏻
          ⚔Waqiah Sha'hadat⚔
        🛡Imam E Aali Maqam🛡
  Imam E Hasan Hussain Nawasaye
                🛡Rasool (ﷺ)🛡                                  
                          Part:-6
🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋🇮🇳🕋
  ✍🏻Mufti Abu Bakar Jabir قاسمی✍🏻
✍🏻Mufti Ahmadullah Nisar قاسمی✍🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
⚜IBNE ABBAS RAZIYALLAHU ANHUMA KA DOBARAH TASHREEF LANA:-
💠Dusre din Ibne Abbas Raziyallahu Anhuma fir tashreef Laye or Farmaya ke mere bhai mai sabr karna chahta hu magar sabr nahi aata mujhe aapke is aqdaam se aapke or aapke ehle bait ka Shadeed khatrah hai ehle Iraq عہد شکن bewafa log hai aap unke paas na jaye aap is sheher mMakkah mai iqamat kare aap ehle حجاز ke ke Muslim rehnuma w sardar hai or agar ehle Iraq aapse mazeed taqazah kare aap unko yeh likhiye ke pehle apne ameero حکام ko apne sheher se nikal do. Fir mujhe bulao to mai aa jaunga. Or agar aapko yaha se jana hi hai to aap Yaman chale jaye ke waha per bahut se mehfuz Qile or pahaadiya hai or taweel w عریض خطہ hai waha aapke walid ke tabieen bhi ba'kasrat hai is tareh aap logo ke hungamo se juda reh kar بزریعہ khatut khud haq ki اشاعت w himayat kar sakenge Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke aye Ibne Abbas Raziyallahu Anhuma mai jaanta hu ke aap ناصح مشفق hai magar mai ab عزم kar chuka hu isko فسخ karne ke liye tabiyat aamadah nahi hoti Ibne Abbas Raziyallahu Anhuma ne farmaya ke mere bhai agar aap jana tai hi kar chuke hai to khuda ke liye apni aurto or baccho ko sath na le jaye mujhe khof hai ke kahi aap isi tarah apni aurto or baccho ke samne qatl kiye jaaye jis tareh Hazrat Usman Raziyallahu Anh qatl kiye gaye hai(2).
[(2)📚 ايضاً:574/5]
❇Or unki aulaad beyado madadgar dekhti reh gai. Tum Ibne Zubair Raziyallahu Anhuma ki baat sunkar حجاز chhor jaa rahe ho us zaat ki qasam jiske qabze mai meri jaan hai or jiske siwa koi mabood nahi agar mujhe malum hota ke agar tumhari paishani ke baal pakad kar jabran tumhe rok lu to tum ruk jate or meri darkhwast qubul karte to mai zarur esa karta lekin tum rukne wale nahi ho fir jate huye gam mai yeh ash'aar kehne lage:
يالکِ من قنبرة بمعمر * خلالک الجوّ فبيضى واصفرى ونقرى ما شئت ان تنقرى * صيادک اليوم قتيل فابشرى
💠"Aye aabad or khush'haal jageh ki چنڑول tere liye fiza khali ho gai hai tu ande de or geet gaa or tu jese chahti hai chonch maar tera اصیاد aaj qatl hone chala hai tujhe khush khabri ho".
(📚 Al'Badayah: 574/5 )

⚜HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KI KUFA KE LIYE RAWANGI:-
🌻Hazrat Hussain Raziyallahu Anh apne nazdeek ek deeni zarurat samajh kar khuda ke liye عزم kar chuke the mashwarah dene walo ne unko khatraat se aagah kiya magar maqsad ki ehmiyat ne unko khatraat ka muqabla karne ke liye manbur kar diya or Zil'Hajj 20ھ ki teesri ya 8wi tareekh ko aap Makkah se Kufa ke liye rawana  ho gaye us waqt Yazeed ki taraf se Makkah ka haakim Umro Bin Saeed Bin Al'Aas muqarrer tha usko unki rawangi ki khabar mili to chand aadmi raste per unko rokne ke liye bheje Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne wapsi se inkar Farmaya or aage badh gaye.

⚜F (فرزرق) SHA'IR KI MULAQAAT OR HAZRAT HUSSAIN RAZIYALLAHU ANH KA IRSHAD:-
☣Raste mai فرزرق sha'ir Iraq ki taraf se aata hua mila Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko dekh kar puchha ke kaha ka قصر hai? Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne jawab dene ke bajaye unse puchha ke yeh to batlao ke ehle Iraq w Kufa ko tumne kis haal per chhora hai? فرزرق ne kaha keacchha hua aapne ek waqif haal tajurbahkar se baat puchhi mai aapko batata hu ke ehle Iraq ke قلوب to aapke sath hai magar unki talware Bani امیہ ke sath hai or taqdeer aasman se nazil hoti hai or Allah Tala jo chahta hai karta hai.
☪Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne farmaya ke tum sach kehte ho or Farmaya:(1)
[(1)📚Sabiq:570/5]

لله الأمر ما يشاء وکل يوم ربنا في شأن إن  نزل القضاء نحب فنحمد اللّٰه وه‍و المستعان على أداء الشکر وإن حال القضاء  دون الرجاء فلم يعتد من کان الحق نيته والتقوىٰ سريرته (2)
[📚(2)Kamil Ibne Aseer: ذکر مسير الحسين إلى الکوفة: 162/2]
❇"Allah ke sath mai tamam kaam hai woh jo chahta hai karta hai or hamara rab har roz nai shaan mai hai agar taqdeere ilahi hamari murad ke muwafiq hui to ham Allah Tala ka shukr ada karenge or ham shukr karne mai bhi usi ki اعانت talab karte hai ke adaye shukr ki tofeeq de or agr taqdeere ilahi hamari murad mai حائل ho gai to woh shakhs khata per nahi jiski niyat haq ki himayat or jiske dil mai khofo khuda ho".

⚜ ABDULLAH BIN JAAFAR RAZIYALLAHU ANHUMA KA KHAT, WAPSI KA MASHWARAH:-
🌻 Abdullah Bin Jaafar Raziyallahu Anhuma ne jab Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ki rawangi ki khabar paai to ek khat likhkar apne beto ke hath rawana kiya taizi se pahunche or raste mai Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ko dede khat ka mazmoon yeh tha: "mai khuda ke liye aapse sawal karta hu ke aap mera khat padhte hi Makkah ki taraf lot aaye mai mehez khair khawaha na arz kar raha hu mujhe aapki halakat ka khatrah hai or khof hai ke aapke sab ehle bait or ashab ko khatm kar diya jaaye or agar khuda na khwasta aap aaj halak ho gaye zameen ka noor bujh jayega kyonke aap musalmano ke paishwa or unki aakhiri ummed hai aap chalne mai jaldi na kare is khat ke peechhe mai khud bhi aa raha hu mera intizar farmaye والسلام" Was'salam(1).
[(1)📚Ibne Aseer]

☣Yeh khat likhkar Abdullah Bin Jaafar Raziyallahu Anhuma ne pehle yeh kaam kiya ke Yazeed ki taraf se wali Makkah Umar Bin Saeed ke paas tashreef le gaye or unse iska bhi wada tehreer mai le liya ke agar woh wapas aa jaye to unke sath Makkah mai achcha suluk kiya jayega Aamil Makkah Umro Bin Saeed ne parwana likh diya.
☪Or Abdullah Bin Jaafar Raziyallahu Anhuma ke sath apne bhai Yahya Bin Saeed ko bhi Hazrat Hussain Raziyallahu Anhki taraf bheja yeh dono raste mai jakar Hazrat Hussain Raziyallahu Anh se mile Or Umro Bin Saeed ka khat unko sunaya or iski koshish kee ke lot jaaye us waqt Hazrat Hussain Raziyallahu Anh ne unke samne apne us عزم ki ek wajeh bayan kee(2).
[(2)📚Al'Badayah:577/5]
(📚Page,60-63)
📮 Continue....🔜.....Insha Allah📮
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
🕋Maaliko Maula Ki Baargah-E-Aaliya Mai Dua Hai Maaliko Maula Hame Kehne,Sunne,Padhne,Likhne, Bolne Se Ziyadah Amal Ki Tofeeq-E-Rafeeq Ata Farmaye.آمِيْـن ثُـمَّـ آمِيْـن
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                 Post Created By
             🕋Ilm⚜E⚜Deen🕋
                     🤝🏻Group🤝🏻
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●
                      Talib-E-Dua:-
         Marhooma Sanjeeda Begam
                     Akib Hussain
●•●┄─┅━━━━━★✰★━━━━━┅─●•●